Sunday, October 30, 2011

Sahil

Kya dhoondte ho jo tumhe mila nahi
Reton mein bhi kabhi khushiyan chuppi hoti hain
Poochon na itne gehre sawaal badalon se
Dekho ghabrake wo bhi chal diye

Lehron ke piche doobti hue is saanjh ke chabbi se jaano
Paani mein bhi aag lag sakti hain
Sooraj dooba, ye bhi koi shikayat hui
Chamkega wo aur kahin, use jaane do
Uske yaad mein aate hue aaftab ke madmast chandani ko dekhne se apne aapko naa roko

Leto meri god mein, aasman me chamakte in karishmon se seekho
Raat ke muthi mein kaid, choti si jaan hai inki
Par chamakne se kabhi aib to nahi karte
Badi puraani pehchaan hai in lehron se, jaan lo tum
Har pal ye baukhlayi hui to nahi hoti
Inhe sharm ki aanchal me, meethe se muskate
Sheetal bhi aksar maine paaya hai

Apna sar pakkad, yadon mein khudi ko dubo rahe ho kuon
Khayalon ke bhawandar me fasein, apne aap ko nikalne ki koshish to karo
Majhdhar mein fasse, gotte khate hue us kashti se poochon
Sahil pe hi aksar khushiyan milti hain